Meri Tarah Lyrics Heli, Himansh K, Gautam G
Meri Tarah is a new song by Jubin Nauitiyal & Payal Dev
It ft Heli Dharuwala,Gautam & Himansh Kohli
Check it out
Meri Tarah Lyrics
Kaun hai wo duniya mein jo
Tujhe mujhse badhkar chahane laga
Jiske liye tu haath mera
Ik pal mein chhod ke jane laga x2
Tu soch samajh kar chaho use
Ek din mujhse milvao use
Main bhi to dekhun
Pyaar mein wo kya kar sakta hai
Kya wo jo bhi kehta hai
Wo sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah wo tujh par
Hass ke mar sakta hai
Kya wo jo bhi kehta hai
Wo sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah wo tujh par
Hass ke mar sakta hai
Hass ke mar sakta hai
Bahut fark hota hai
Yoon sath muskurane mein
Hath thamne mein aur
Zindagi bitaane mein
Jeene marne ki baatein
Karke bhool jaate hain
Kya kisi ka jaaye jhoothe
Khwab sau dikhane mein
Tum galiyon mein apni bulao zara
Mere jitne kaante bichhao zara
Bina uff kiye kya inn pe
Wo bhi ghuzar sakta hai
Kya wo jo bhi kehta hai
Wo sach mein kar sakta hai
Kya meri tarah wo tujh par
Hass ke mar sakta hai x2
Ab yaad rakhega kaun kise
Yeh waqt ko tay kar lene de
Karde khushiyon ki baarish us par
Aankh mujhe bhar lene de
Na shor hua awaz hui
Jab jab dil sacha toota hai
Puchho sabse se sabko apne
Chahne walon ne loota hai
Na aas rahe na saans rahe
Hum bhi patthar ho jayenge
Tum ho jao gairon ke
Hum to khud ke hi na ho payenge
Ho payenge
Teri dhadkanon ke zariye
Main bhi to dhadakti hoon
Tujhe kaise dil se mere
Door kar sakti hoon
Jaisi bhi hon raahein chahe
Haan main chal sakti hoon
Tujhe dekh kar jeeti hoon
Tujhpe mar sakti hoon
Tujhpe mar sakti hoon x3
Related Posts
Aameen Lyrics ; Karan Sehmbi | Nirmaan | Heli Daruwala
Wajah Lyrics ; Rahul jain , Smriti Khanna, Gautam Gupta
Wafa Na Raas Aayi Lyrics Jubin Nautiyal Ft Himansh, Arushi
Oh Humsafar Lyrics ; Neha Kakkar, Himansh Kohli,Tony Kakkar
Tujhe Bhoolna Toh Chaaha Lyrics Rochak Kohli Ft Jubin Nautiyal
1 thought on “Meri Tarah Lyrics Jubin Nautiyal, Payal”
Comments are closed.